Ab Raat Guzarne Wali Hai

Aa jao tadapte hain armaan
Aa jao tadapte hain armaan
X 2
Main roun yahaan, tum chup ho wahaan
X 2

O. chand ki rangat udne lagi
Lo taaron ke dil ab doob gaye, doob gaye.
Hai dard bhara bechain sama
X 2

Is chand ke dole mein aayi nazar
Is chand ke dole mein aayi nazar
Yeh raat ki dulhan chal di kidhar, chal di kidhar
Aawaz to do khoye ho kahaan
X 2

Ghabra ke nazar bhi haar gayi
Ghabra ke nazar bhi haar gayi
Taqdeer ko bhi neend aane lagi, neend aane lagi
Tum aate nahi, main jaaun kahaan
X 2

X 3



Credits
Writer(s): Jaikshan Shankar, Jaipuri Hasrat
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link