Tanhaiyaan (From "Aksar 2")

Jab tak hamari zarurat rahi
Mohabbat tabhi tak mohabbat rahi
Jab tak hamari zarurat rahi
Inayat tabhi tak inayat rahi
Mile tumhe aise, tum anjan ho
Na chaahat rahi na muravvat rahi

Tanhaiyaan haan
Tune kyun di hain bewajah re
Ruswaiyaan haan
Tune kyun di hain bewajah re
Behchaniyaan
Tune kyun di hain bewajah re
Khamoshiyaan
Tune kyun di hain bewajah re

Unn raaton ko main bataunga kya
Jin raaton mein tu meri bahon mein tha
Unn shaamon ko main samjhaunga kya
Jin shaamon mein tu mujhe milta raha
Miloge jo phir se to ehsaan ho
Hai chaahat yehi, ab hai hasrat yehi

Tanhaiyaan haan
Tune kyun di hain bewajah re
Ruswaiyaan haan
Tune kyun di hain bewajah re
Behchaniyaan
Tune kyun di hain bewajah re
Khamoshiyaan
Tune kyun di hain bewajah re

Unn khwaabon ko main samjhaunga kya
Jin khwaabon mein tu mere aata raha
Unn raahon ko main bataunga kya
Jin raahon pe tu mere sath chala
Yehi soch kar dil pareshan hai
Unn raaston pe tu kahan kho gayi

Tanhaiyaan haan
Tune kyun di hain bewajah re
Ruswaiyaan haan
Tune kyun di hain bewajah re
Behchaniyaan
Tune kyun di hain bewajah re
Khamoshiyaan
Tune kyun di hain bewajah re

(Jab tak hamari zarurat thi)
(Tab tak hi kyun yeh mohabbat ki)
(Jab tak hamari zarurat thi)
(Tab tak hi kyun yeh mohabbat ki)
(Jab tak hamari zarurat thi)
(Tab tak hi kyun yeh mohabbat ki)
(Jab tak hamari zarurat thi)
(Tab tak hi kyun yeh mohabbat ki)



Credits
Writer(s): Mithoon
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link