Raat Ghataye Jaadu Khushboo

Raat Ghatayein jaadu khushboo jiski zulfon ke paighaam-2
Dil ke warak par-2
Dil ke warak par dhoondh raha hoon
us saada chehre ka naam

Tune pehle dekha tha ya maine ab ye yaad nahin-2
Soch raha hoon kisko doon main dil ki tabahi ka ilzaam-2

Bik jayein bazaar mein hum bhi lekin is se kya hoga-2
Jis keemat par tum milte ho utne kahan hain apne daam-2

Tere Mere beech mein kitni deewaren hain phir bhi to-2
Meri aankhen sun leti hain teri aankhon ke paighaam-2

Hum bhi kuch naadaan they yaaro kitne khwaab saja baithe-2
Waqt bhala kya deta humko Waqt ko apne kaam se kaam-2

Jalti bujhti yadein lekar jab mujhse milti hai shaam-2
Aksar dil ki deewaron par likh deta hoon tera naam

Raat Ghatayein jaadu khushboo jiski zulfon ke paighaam
Dil ke warak par-2
Dil ke warak par dhoondh raha hoon
us saada chehre ka naam.

Raat Ghatayein jaadu khushboo jiski zulfon ke paighaam.



Credits
Writer(s): Laxmikant Pyarelal, Mumtaz Rashid
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link