Har Taraf Har Jagah Besumar Aadmi

Apanee hi laash ka khud mazaar aadmee
Subah se shaam tak bojh dhota hua
Subah se shaam tak bojh dhota hua
Apni hi laash ka khud mazaar aadmi
Apni hi laash ka khud mazaar aadmi.
Phir bhi tanhaiyon ka shikaar aadmi
Har taraf har jagah beshumar aadmi.
Har taraf bhaagte daudhte raaste
Har taraf bhaagte daudhte raaste
Har taraf aadmi ka shikaar aadmi
Har taraf aadmi ka shikaar aadmi.
Phir bhi tanhaiyon ka shikaar aadmi
Har taraf har jagah beshumar aadmi.
Roz jeeta hua roz marta hua
Roz jeeta hua roz marta hua
Har naye din naya intezar aadmi
Har naye din naya intezar aadmi.
Phir bhi tanhaiyon ka shikaar aadmi
Har taraf har jagah beshumar aadmi.
Zindagi ka mukkaddar safar dar safar
Zindagi ka mukkaddar safar dar safar
Aakhri saans tak bekaraar aadmi
Aakhri saans tak bekaraar aadmi.
Phir bhi tanhaiyon ka shikaar aadmi
Har taraf har jagah beshumar aadmi
Har taraf har jagah beshumar aadmi.



Credits
Writer(s): Nida Fazli, Jagjit Singh
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link