Kachche Rang (From "Alfaaz")

kacche rang utar jane do...
mausam hai gujar jane do...
kacche rang utar jane do...
mausam hai gujar jane do...

shisham ke patton pe pani
bund bund bajtaa rahata hai...
barish bit bhi jaayen to
der talak tapkaa rehata hai...
bundo se bhigo dena
barisho ki aadat thi...
barisho ki aadat hai...
yeh bauchaar gujar jane do...
kacche rang utar jane do...

mausam hai gujar jane do...

udate hue sukhe tinko ka
jodna aur pirona kya...
andhe fulo ka shankho pe
hona aur na hona kya...
rang badal lena
mausamo ki aadat thi...
mausamo ki aadat hai...
shankhe khali kar jane do...
kacche rang utar jane do...
mausam hai gujar jane do...



Credits
Writer(s): Vishal Bharadwaaj, Gulzar
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link