Yaad Teri Aaye Jaaye

Hmm hmm hmm hmm...
(Ek pal main kya se kya huwa, jadoo sa kya chala
Tujhse juda huwa toh aaj khud se juda huwa)
(Ek pal main kya se kya huwa, jadoo sa kya chala
Tujhse juda huwa toh aaj khud se juda huwa)
Aaye, yaad teri aaye, ho o o jaaye jaan bhi na jaaye
Aaye, yaad teri aaye, ho o o jaaye jaan bhi na jaaye

Suna suna sa hai mausam, ojhal si shaam hai
Tanha tanha sa har rasta, tanha makaam hai
Gumsum gumsum si lagti hai aayi hai jo hawa
Chupke chupke sabse chupke rota hai aasmaan
Bejaan dhadkane meri, aankhon mein hai duwa
Tujhse juda huwa toh aaj khud se juda huwa
Aaye, yaad teri aaye, ho o o jaaye jaan bhi na jaaye
Hmm... mm mm mm mm hmm...

Kisane socha tha aisa bhi aayega ek din
Khali khali honge har palchin tere bin
Bechaini hai betaabi hai, dil hai bujha bujha
Maara maara deewano sa, phirta yahaan wahaan
Saasein ruki ruki meri, khamosh hai sada
Tujhse juda huwa toh aaj khud se juda huwa
Aaye, yaad teri aaye, hmm mm mm jaaye jaan bhi na jaaye
Ek pal main kya se kya huwa, jadoo sa kya chala
Tujhse juda huwa toh aaj khud se juda huwa
Aaye, yaad teri aaye, hmm mm mm jaaye jaan bhi na jaaye
Hmm... mm mm mm mm hmm... hmm... ho o o oo...



Credits
Writer(s): Malik Anu, Verma Amitabh
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link