Kab Ke Bichhade Huye

Kab ke bichde hue hum aaj kahan aake mile.
Jaise shamma se kahin lau yeh jhilmila ke mile.

Aa... aa. aa...
Aa... aa. aa...

Kab ke bichde hue hum aaj kahan aake mile.
Jaise sawan, jaise sawan
Jaise sawan se kahin pyasi ghata chha ke mile
Kab ke bichde hue hum aaj kahan aake mile.
Kab ke bichde, kab ke bichde

Baad muddat ke raat mehki hai
Dil dhadkata hai, saans behki hai

Pyaar chhalka hai pyasi aankhon se
Surkh honthon pe aag dehki hai
O... mehki hawaon mein, behki fizaon mein
Do pyase dil yun mile
Do pyase dil yun mile.
Jaise maikash, jaise maikash
Jaise maikash koi saaqi se dagmaga ke mile.
Kab ke bichde hue hum aaj kahan aake mile.
Kab ke bichde, kab ke bichde

Door shehnaai geet gaati hai
Dil ke taaron ko chhed jaati hai
Dil ke taaron ko chhed jaati hai
Yun sapnon ke phool yahan khilte hain
Yun dua dil ki rang laati hai
Yun dua dil ki rang laati hai
Aa. aa.
Barson ke begaane ulfat ke deewane
Anjane aise mile
Anjane aise mile
Jaise manchaahi, jaise manchaahi
Jaise manchaahi dua barason aazma ke mile
Kab ke bichde hue hum aaj kahan aake mile.
Jaise sawan se kahin pyasi ghata chha ke mile

Kab ke bichde hue hum aaj kahan aake mile.
Kab ke bichde, kab ke bichde

Hmm... hmm... hmm...



Credits
Writer(s): Anjaan, Anandji V Shah, Kalyanji Virji Shah
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link