Maan Mausam Ka Kaha

Maan mausam ka kaha chhayi ghata jaam utha

Aag se aag bujha phool khila jaam utha

Ae mere yaar tujhe uski kasam deta hun
Ae mere yaar tujhe uski kasam deta hun
Bhul jaa shikwa gile haath mila jaam utha
Maan mausam ka kaha chhayi ghata jaam utha
Aag se aag bujha phool khila jaam utha
Maan mausam ka kaha chhayi ghata jaam utha

Ek pal bhi kabhi ho jaata hai sadiyo jaisa

Der ke karna yaha hath badha jaam utha
Maan mausam ka kaha chhayi ghata jaam utha

Pyar hi pyaar hai sab log barabar hai yaha

Maikade mein koi chota na bada jaam utha
Maan mausam ka kaha chhayi ghata jaam utha
Aag se aag bujha phool khila jaam utha
Maan mausam ka kaha chhayi ghata jaam utha

Credits
Writer(s): Jagjit Singh, Bashir Badar
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link