Kyon Hawa

Ek din jab savere savere
Surmai se andhere ki chaadar hata ke
Ek parbat ke takiye se
Suraj ne sar jo uthaaya
Toh dekha
Dil ki vaadi mein chaahat ka mausam hai
Aur yaadon ki daaliyon par
Anginat beetein lamhon ki kaliyaan
Mahakne lagi hain
Ankahi Ansuni Aarzoo
Aadhi soyi hui
Aadhi jaagi hui
Aankhein malte hue dekhti hai
Laher dar laher
Aur mauj dar mauj
Behti hui zindagi
Jaise har pal nayi
Aur phir bhi wohi
Haan wohi zindagi
Jiske daaman mein koi mohabbat bhi hai
Koi hasrat bhi hai
Paas aana bhi hai
Door jaana bhi hai
Aur yeh ehsaas hai
Waqt jharne sa behta hua
Jaa raha hai yeh kehta hua
Dil ki vaadi mein chaahat ka mausam hai
Aur yaadon ki daaliyon par
Anginat beetein lamhon ki kaliyaan
Mahakne lagi hain

Kyon hawa aaj yun gaa rahi hai

Kyon hawa aaj yun gaa rahi hai
Kyon fiza rang chalka rahi hai
Mere dil bata aaj hona hai kya
Chandni din mein kyon chaa rahi hai
Zindagi kis taraf jaa rahi hai
Mere dil bata kya hai yeh silsila
Kyon hawa aaj yun
Gaa rahi hai
Gaa rahi hai
Gaa rahi hai

Jahan tak bhi jaayein nigaahein
Barastein hai jaise ujaale
Jahan tak bhi jaayein nigaahein
Barastein hai jaise ujaale
Saji aaj kyon hai yeh raahein
Khile phool kyun hai niraale
Khushbooyein kaisi yeh beh rahi hai
Dhadkane jaane kya keh rahi hai
Mere dil bata yeh kahani hai kya
Kyon hawa aaj yun
Gaa rahi hai
Gaa rahi hai
Gaa rahi hai

Yeh kiska hai chehra jise main
Har ik phool mein dekhta hoon
Yeh kiska hai chehra jise main
Har ik phool mein dekhta hoon
Yeh kiski hai aawaaz jisko
Na sun ke bhi main sun raha hoon
Kaisi yeh aahatein aa rahi hai
Kaise yeh khwaab dikhla rahi hai
Mere dil bata kaun hai aa raha
Kyon hawa aaj yun
Gaa rahi hai
Gaa rahi hai
Gaa rahi hai



Credits
Writer(s): Madan Mohan
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link