Humain Itna Pyaar

Humein itna pyaar
Na karo ke hum mar jaaye
Humein itna tanha
Na karo ke jee na paaye
Ke jee na paaye

Koi dil ka qaraar jaane na
Koi mann ki yeh baat bataye na
Koi aankhon hi aankhon mein
Kehde yeh baat
Chal chale uss paas
Jahaan koi na ho
Sab khushiyaan ho
Paas sitam na ho
Aur sitaaron se karte
Rahein ham baat
Kya yahin hai khata
Pyar maine kiya
Ab yuhn sataaon o mere piya
Tu hi mera dil dar tu dil ka qaraar
Nahin is baat se mujhe koi inkaar
Kabhi kabhi tum yaad aate ho
To dil bhar aaye
Yeh kaisa hai puhaar
Jo kam na ho aur badhta jaaye

Dekha hai har mausam
Teri aankhon mein
Beeta hai har lamha
Teri saanson mein
Yeh hai saansein to
Teri amaanat hai
Kuchh ajab hai yeh haal
Mere seene mein
Haan hai aur taal
Mere jeevan mein
Bass isi jeevan se hai
Mujhe thoda pyar
Teri aahat hai sarsarahat hai
Kuchh aur sahi yeh chahat hain
Nainon se nainon ko tak ke dil
Tumhein aankhein churane ki aadat hain

Humain itna pyaar
Na karo ke hum mar jaaye
Humain itna tanha
Na karo ke jee na paaye
Humain itna pyaar
Na karo ke hum mar jaaye
Humain itna tanha
Na karo ke jee na paaye.



Credits
Writer(s): Farhan Saeed, Goher Mumtaz, Sheraz Aamir
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link