Mehboob

Ek din aisa hua, jo ke hona tha
Aaya tere jahaan mein main, par mujhe na aana tha
Marzi meri nahin thi na hi mera tha khayal
Apney hone pe khud se karta hoon main sawaal
Bahlaya pehle ye chand ne
Suraj ne bhi phir muje aise lalchaaya
Taare bhi chamak ke so gaye
Jal jal ke koi bhi na yeh dil behla saka

Par yeh masoom hai par itna bhi nahin
Chand suraj sitaarey sabhi rehna nahin
Gulshan hai tujhse yeh sou par, yeh tu hai nahin
In sab se main khela magar maine maana ye sanam nahin

Teri hi wafa mein, hum aag se khelein
Sehra hi paya humne yeh dariya cheer ke
Ek teri hi khushi mein, hum kahan guzar gaye
Arey kaunsi dagar hai aur kitne faasle

Kaheen jagah waheen pe hai na
Jahan pe dil ko khayal behlaate hain
Nigaahon mein, tu hi to hai naa
Pukar sun le meri, aey jaana

Anjaanay saare yahan, kab tak main sahoon
Jeene ki khatir dil badle to main kuch kahoon
Sun ne ko raazi ho to main unke saath rahoon
Har ek chamak ke peeche na daudein to main sang chaloon

Yeh badlein har pal chehra naya
Aiyaari mein dekho kaise jhoomta jahan
Darbadar bhataktey yahan wahaan
Manzil hai kahin pe aur ye chal diye kahan

Waqt nahin paayega tu, phat jaayegi zameen
Kabhi na kabhi ye samjhegaa tu mujhko hai yakeen
Sachchaai se aankhein firaana teri fitrat hai
Maine to wohi kaha jo kehna maqsad hai
Duniya to duniya hai, duniya ki keemat nahin
Surat teri achhi hai par seerat hai nahin
Jeene ko to jo paaye bhi jeete hai magar
Insaan hai tu khud apni na karta hai kadar

Jeena jeena jeena jeena, jeena jeena jeena jeena...
Jeena jeena jeena jeena, jeena jeena jeena jeena...
Jeena jeena jeena jeena, jeena jeena jeena jeena...
Jeena jeena jeena jeena, jeena jeena jeena jeena...



Credits
Writer(s): Mehboob Alam Kotwal, Vanraj Bhatia
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link