Raahon Pe Nazar Rakhna

Raahon Pe Nazar Rakhna Honton Pe Duwaa
Rakhna
Aa Jaaye Koyi Shayaad Darwaaza Khoulaa
Rakhna
Ehsaas Kee Shamma Ko Iss Tarha Jalaa
Rakhna
Aapni Bhi Khabar Rakhna Uss Ka Bhi Pata
Rakhna
Tanhaai Ki Mausam Mein Saayon Ki Huqoumat
Hain
Yaadon Ke Ujaalon Ko Seene Se Lagaa Rakhna
Raaton Ko Bhatakne Ki Deta Hain Sazaa Mujh
Ko
Dushwar Hain Pahlu Mein Dil Tere Binaa
Rakhna
Logo Ki Nigaahon Ko Parh Lene Kee Aadat Hain
Haalat Kee Tahreere Chehre Se Bachaa Rakhna
Bhuloun Main Agar Aye Dil To Yaad Dilaa Denaa
Tanhaai Ke Lamhon Ka Harr Zakhm Haraa
Rakhna
Ik Bound Bhi Ashqon Ki Daman Na Bheegon
Paaye
Gham Uss Ki Amaanat Hain Palkon Pe Sajaa
Rakhna
Iss Tarha Qatil Usse Bartaw Rahe Apna
Wo Bhi Na Bura Maanay Dil Ka Bhi Kaha Rakhna
Rahoon Pe Nazar Rakhna Honton Pe Dua Rakhna
Aajaye Koyi Shayad Darwaza Khula Rakhna...



Credits
Writer(s): Qateel Rajasthani, Bhupender Singh
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link