Bewafa Yoon Tera Muskurana (Live)

Suna hai log use aankh bhar ke dekhte hai
So uske sheher mein
Kuchh din theher ke dekhte hai
Suna hai rakt hai usko kharaab haalo se
So apne aap ko barbaad karke dekhte hai
Suna hai bole toh baaton se phool jhadte hai
Ye baat hai toh chalo baat karke dekhte hai
Suna hai din ko usey titaliyan satati hai
Suna hai raat ko juganu theher ke dekhte hai

Bewafa yun tera muskarana
Bhool jaane ke kaabil nahi hai
Bewafa yun tera muskarana
Bhool jaane ke kaabil nahi hai
Main jo zakhm khaya hai dil par
Woh dikhane ke kaabil nahi hai
Bewafa yun tera muskarana
Bhool jaane ke kaabil nahi hai

Maine khat likhke unko bulaya
Aake kaashid ne dukhda sunaya
Maine khat likhke unko bulaya
Aake kaashid ne dukhda sunaya
Unke paaon mein mehndi lagi hai
Unke paaon mein mehndi lagi hai
Aane jaane ke kaabil nahi hai
Bewafa yun tera muskarana

Maine puchha ke kal sab kahaan they
Pehle sharmaaye phir jhalke boley
Maine puchha ke kal sab kahaan they
Pehle sharmaaye phir jhalke boley
Aap woh baat kyun puchhatey hai
Aap woh baat kyun puchhatey hai
Jo batane ke kaabil nahi hai
Bewafa yun tera muskarana

Teero talvaar tum mat uthao
Kyun ye karte ho bekaar zehmat
Teero talvaar tum mat uthao
Kyun ye karte ho bekaar zehmat
Jaante hai tumhari kalaayi
Jaante hai tumhari kalaayi
Bojh uthane ke kaabil nahi hai
Bewafa yun tera muskarana

Maine jab bhi ki arze tamanna
Zulf ki tarhaa balkhake bole
Maine jab bhi ki arze tamanna
Zulf ki tarhaa balkhake bole
Aise aashiq ko suli chadha do
Aise aashiq ko suli chadha do
Rehem khane ke kaabil nahi hai
Bewafa yun tera muskarana
Main jo zakhm khaya hai dil par
Woh dikhane ke kaabil nahi hai
Bewafa yun tera muskarana.



Credits
Writer(s): Bhupender Singh, Abdur Rab Chaush Hairan
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link