Aye Dil Dil Ki Duniya Mein (From "Yaadein")

Aye dil dil ki duniya mein
Aisa haal bhi hota hai
Bahar koi hansta hai
Andar koi rota hai

Aye dil dil ki duniya mein
Aisa haal bhi hota hai
Bahar koi hansta hai
Andar koi rota hai

Aye dil koi pehchana nahin
Kisi ne yeh mana nahin
Kisi ne yeh jana nahin
Kisi ko batana nahin
Dard chhupa hai kahan

Aye dil dil ki duniya mein
Aisa haal bhi hota hai
Bahar koi hansta hai
Andar koi rota hai

Toone mujhse wafa nahin ki
Tujhko kaise wafa milegi
Toone mujhko dard diya hai
Tujhko kaise dava milegi

Seene mein uthate hain armaan aise
Dariya mein aate hain toofan jaise
Kabhi kabhi khud hi maajhi
Kashti ko dubota hai
Aye dil dil ki duniya mein
Aisa haal bhi hota hai
Bahar koi hansta hai
Andar koi rota hai

Kaante chunkar tera daaman
Phoolon se main bhar jaaunga
Is-se badi saza kya hogi
Maaf tujhe main kar jaaunga

Hogi kisi ko pehchan kaise
Pyaar mein hote hain kurban kaise
Humko yeh maaloom na tha
Pyaar bhi ik samajhauta hai
Aye dil dil ki duniya mein
Aisa haal bhi hota hai
Bahar koi hansta hai
Andar koi rota hai

Aye dil koi pehchana nahin
Kisi ne yeh mana nahin
Kisi ne yeh jana nahin
Kisi ko batana nahin
Dard chhupa hai kahan

Aye dil dil ki duniya mein
Aisa haal bhi hota hai
Bahar koi hansta hai
Andar koi rota hai

Aye dil dil ki duniya mein
Aisa haal bhi hota hai
Bahar koi hansta hai
Andar koi rota hai.



Credits
Writer(s): Anu Malik, Anand Bakshi
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link