Jadoo Hai Tera (From "Ghulam")

Deewaane mere yeh toh bata kya kiya tune, mitha sa dard hone laga
(Yeh kya huwa, pehle na aisa hota tha
Main hoon kahaan main jaanu na) - (2)
Koi mujhe itana bata de, ghar ka mere mujhko pata de) - (2)

Maine toh yeh jaana na, hota hai kya intzaar
Mera dil kyun maane na, mujhko toh ho gaya hai pyaar
Main chain se pehle raaton ko soti thi, tune meri nindein luti - (2)
Yeh rog kya tune lagaaya, deewaanapan kaisa jagaaya
Jaadu hai tera hi jaadu, jo mere dil pe chhane laga
O jaana meri yeh toh bata kya kiya tune, mitha sa dard hone laga
(Yeh kya huwa, pehle na aisa hota tha
Main hoon kahaan main jaanu na) - (2)
Koi mujhe itana bata de, ghar ka mere mujhko pata de

Jaaneman o jaaneja kya hai iraada bata
Chhune de in honton ko honton se mere jara
(Kya khoob hai main bhi kaisa deewaana tha
Kyun ishq se anjaana tha) - (2)
Paagal mujhe tune banaaya, chaahat hai kya mujhko bataaya
Jaadu hai tera hi jaadu, jo mere dil pe chhane laga - (2)
Deewaane mere yeh toh bata kya kiya tune, mitha sa dard hone laga
(Yeh kya huwa, pehle na aisa hota tha
Main hoon kahaan main jaanu na) - (2)
Koi mujhe itana bata de, ghar ka mere mujhko pata de



Credits
Writer(s): Sameer Anjaan, Jatin Pandit, Lalitraj Pandit
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link