Salone Kya

Salone aah.salone aah...

Salone kya tune prem ka shastra padha,
Salone kya tune prem ka shastra padha,
Hoo koi aaye to, mann ko bhaaye to,
Hoti hai kya dasha,
Sunn ni hai kya saari katha?- 2 times

Salone aah.salone aah...

Kaisi agan sulagti hai hothon mein?
Kaisa dhuan gehraata hai naino mein?
Hoo...
Kaisi agan sulagti hai hothon mein?
Kaisa dhuan gehraata hai naino mein?
Kyu baatein karti hai parchaaiyaan?
Kyu aane lagti hai angdaaiyaan?
Darr sataye kyu? Thartaraye kyu?
Jaage kyu kaamna?
Sunn ni hai kya saari katha...?

Ooo chanchal sundari baala,
Mujhe pata nahi tha,
Har yug mein janam leti hai,
Yahan koi meneka,
Hoo prem ka bandhan hai aalingan,
Kaise tumse kahun?
Prem sandesa hota hai chumban,
Ismein sankoch kyu?
Yeh jo suvidha hai, wo hi duvidha hai,
Isko kahu aur kya?
Sunn ni hai kya saari katha...?

Salone kya tune prem ka shastra padha,
Salone kya tune prem ka shastra padha,
Hoo koi aaye to, mann ko bhaaye to,
Hoti hai kya dasha,
Sunn ni hai kya saari katha?



Credits
Writer(s): Javed Akhtar, Sohail Sen
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link