Sunoji Dulhan Ek Bat Sunoji

Suno jee dulhan ek baat sunoji
Apne naye parivaar se milo jee
Tumhein milaayein sabse aaj
Suno sunaayein sabke raaz
Haaye. tumhein milaayein sabse aaj
Suno sunaayein sabke raaz

Pehle dulhan tum inse milo jee
Ghar ke mukhiya tumhare sasur jee
Jinke sar pe sukhon ka taj
Dekho zara inka andaaz
Haan. jinke sar pe sukhon ka taj
Dekho zara inka andaaz

Rampur ka vaasi hoon main
Ramkishan hai naam
Seedhi saadi boli meri
Seedha saada kaam
Ho. jo bhi chaha maine
Ho. rab se woh paya maine
Ho. rampur ka vaasi hoon main

Des bides ghoomkar aaya main bhaai
Ho. mehak gaanv ki mitti ki na bisraayi
Wahi gud chana doodh naashte mein bhaaye
Ho chhuri aur kaante se khana na aaye
Itne par bhi. ho.
Itne par bhi hai nayi technicon ko
Pyaar se hai seekha maine
Rampur ka vaasi hoon main
Ramkishan hai naam
Seedhi saadi boli meri
Seedha saada kaam

Aao dulhan ab inse milo jee
Yeh hain tumhari saasu maa jee
Ghar mein chalta inka raaj
Inka khaas hai ek andaaz
Hey. ghar mein chalta inka raaj
Inka khaas hai ek andaaz

Mera naam mu mu mu mu mu mu
Aaha mu mu mu
Teen titliyaan meri yaar
Mujhe partiyon se hai pyaar
Wah wah! wah wah! wah wah!
Shopping ho ya sabji mandi
Mol bhaav ki pakki hoon
Ek rupaiya keemat ho to
Ek rupaiya hi main doon
Lamba mera fasana hai
Par beauty parlour jana hai
Lamba mera fasana hai
Par beauty parlour jana hai
Mera naam mu mu mu mu mu mu
Aaha mu mu mu
Pyara mujhe saaj singar
Umra ko goli maaro yaar
Wah wah! wah wah! wah wah!

Chalo dulhan ab aage badho jee
Apne nanad nandoi se milo jee
Didi ko yeh na kare naraaz
Aashiqana hai andaaz haan
Didi ko yeh na kare naraaz
Aashiqana hai andaaz haan

Radhika ke daddy zara aana
Darling hukum farmana
Kaisi hai yeh saadi batana
Darling fida hai yeh deewana

Mera sar hai dukhta
Chalo main daba doon
Hai khana pakana
Kaho main paka doon
Kahin ghoom aayein
Jahan bhi kaho tum
Dinner lenge bahar
Fikar na karo tum
Baad mein ice cream bhi khilna
Darling jo chaho so mangana
Meetha paan ka patta khilna
Darling zara sa muskurana
Zara mera purse to uthana
Darling tumhara hai zamana
Darling tumhara hai zamana

Suno jee dulhan ab sambhal jao jee
Chhote natkhat devar se milo jee
Bada rangeela inka mizaaj
Shaitani inka andaaz
Hey. bada rangeela inka mizaaj
Shaitani inka andaaz

Papa kehte hain bada naam karega
Beta hamara aisa kaam karega
Sach saare sapne papa ke apne
Karne chala main naujawaan

Bholi soorat dil ke khote
Baatein badi hai kaam hain chhote
Kaam hain chhote
Aath baje tak jo sote
Bade kahan log aise hote
Jinki nazar mein ho koi sapna
Raha na unko hosh apna, hosh apna
Chit bhi hai inki pat bhi hai inki
Bin pende ke yeh lote
Baatein badi hai kaam hain chhote
Kaam hain chhote
Bholi soorat dil ke khote
Husn ke nakhre mote mote mote mote

Suno jee dulhan ab gaur karo jee
Apne bade devar se milo jee
Maa ke dil ke yeh sartaaj
Sharmeela jinka andaaz hoon
Hmm. maa ke dil ke yeh sartaaj
Sharmeela jinka andaaz hoon

Akhiyaan milaaye nahin
Haaye batiyaaein nahin banke rahe sadhu
Akhiyaan milaaye nahin
Haaye batiyaaein nahin banke rahe sadhu
Kisi chehre ki kitaab ka
Roz revision hai chalu
Preet ke path mein hain prem babu
Chhupe rustam hain yeh prem babu

Aise kya bane padhaiya
Padhke dekho jee saiyaan
Prem ke dhaai aakhar ho.
Jab tak tum rahe bidesi
Meri haalat thi aisi
Jal bin jaise machhariya ho.
Mera piya ghar aaya o ram jee
Mera piya ghar aaya o ram jee
O ri ho na ho padhaai o papa jee
Kar do inki bhi sagaayi o mummy jee

Pyari dulhan ab dil thaamo jee
Kyun ki hai baari saiyaan jee ki
Itna sa hai inka raaz
Sabse alag inka andaaz
Haan. itna sa hai inka raaz
Sabse alag inka andaaz

Khuli kitaab ke jaisi hai shakhsiyat inki
Kaun hai ghar mein aisa jisko inpe naaz nahin
Suno dulhan bataayein raaz tumko hum inka
Yeh aaina hain jiske dil mein koi raaz nahin

Chanda mama se bhi pyare
Hain yeh hamare mama
Chanda mama se bhi pyare
Hain yeh hamare mama
Maami jee ke aa jaane se
Humko bhool na jana
Pyare pyare mama jee
Jahan se nyaare mama jee
Pyare pyare mama jee
Jahan se nyaare mama jee

Ni sa re ga re sa re ga re sa re
Ni sa re ga re sa re ga re sa sa
Ni sa re ga re sa re ga re sa re
Ni sa re ga re sa re ga re sa sa



Credits
Writer(s): Raam Laxman, Ravindra Rawal Ki, Mitalee Shashank
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link