Ek Pyar Ka Naghma Hai

zindagi aur kuch bhi nahi teri meri kahani hai
tu dhaar hai nadiya ki,
main tera kinara hu
tu mera sahara hai,
main tera sahara hu
aankho me samundar hai,
ashaaon ka paani hai
zindagi aur kuch bhi nahi teri meri kahani hai
ek pyar ka nagma hai
jo dil ko tassali de
wo saaz utha laao
dum ghutne se pehle hi
aawaz utha laao
khushiyon ka tarannum hai,
ashkon ki zabaani hai
zindagi aur kuch bhi nahi teri meri kahani hai
zindagi aur kuch bhi nahi teri meri kahani hai
teri meri kahani hai
ek pyar ka nagma hai



Credits
Writer(s): Laxmikant Pyarelai, Santosh Anand
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link