Jannat Hai Yeh Zameen

Jannat Hai Ye Zameen
Oh Piya, Tere Ishq Mein
Jannat Hai Ye Zameen
Oh Piya, Tere Ishq Mein
Haan Main Kya Se Kya Huwi
Oh Piya Tere Ishq Mein

Apna Bana Le Mujhe Apna Bana
Sapna Saja De Mera Sapna Saja
Bhar Le Mujhe Aagosh Mein
Kehti Hai Khaamoshiyaan

Eh Aa Eh Aa Eh Aa
Eh Aa Eh Aa Eh Aa

Jal Rahi Hoon Sharaaron Mein
Tumne Ye Kya Keh Diya
Bebasi Ki Ishaaron Pe
Faisla Kar Liya
Mehfil Hai Teri Bas Teri
Ye Dil Hai Tera.Bas Tera
Har Ek Disha Mein Tuhi Dikhe
Kaisi Hai Jaadugari

Jannat Hai Ye Zameen
Oh Piya, Tere Ishq Mein
Main Kya Se Kya Huwi,
Oh Piya Tere Ishq Mein

Faasle Kam Ye Hone Do
Keh Rahi Hai Hawa
Haan Khata Maine Kee Hai Ji
De Do Hamko Saza
Karoon Kya Main Kya Na Karoon
Aahein Main Sanam Kyun Bharoon
Ye Pal Mujhe De Do Sanam
Le Lo Meri Zindagi

Jannat Hai Ye Zameen
Oh Piya, Tere Ishq Mein
Main Kya Se Kya Huwi
Oh Piya Tere Ishq Mein

Apna Bana Le Mujhe Apna Bana
Sapna Saja De Mera Sapna Saja
Bhar Le Mujhe Aagosh Mein
Kehti Hai Khaamoshiyaan



Credits
Writer(s): Anand Raj Anand
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link