Udassian (Rock Version)

Anjani si rahein thi
Na koi dishayen thi
Bas teri hi baahon ka sahara tha
Lena kya duniya se tha
Humko kiski thi parwah
Bas ik tuhi tha haan jo humara tha

Tu aas paas ho
Toh na dil udaas tha
Jab se gaya tu de gaya udaasiyan ho.

Mere wajood ka tu raazdaar tha
Jab se gaya tu de gaya udasiyan

Oh oh o.

Haan inn sawalon ka
Main jawab kya deta
Keh tera aur mera
Kya hai rishta.

Ik meri chaahat hai
Ik dil ki rahat hai
Keh bin duniya mein rehta hai kya.

Haathon se mere kyun lamha phisal gaya
Toofan tha ya thi meri khamoshiyan.

Mere wajood ka tu raazdaar tha
Jab se gaya tu de gaya udasiyan



Credits
Writer(s): Sohail Haider
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link