Jab Tak Ki Hai Akash Pe Chand Aur

Jab tak ki hain akaash pe chaand aur sitaare
Bhaghavaan, salaamat rahen maan-baap hamaare

Maan-baap ka dil hai kisi tirath se bhee pyaaraa

Ho, hans-hans ke uthaate hain vo dukh-dard hamaaraa

Phir kyun naa har ek saans dua banake pukaare?
Bhaghavaan, salaamat rahen maan-baap hamaare

Kehthe hain ki maan-baap ka dil jisane dukhaaya
Akaash pe bhaghavaan ko bhee usne rulaayaa

Duniyaa kee har ek chiz se maan-baap hain pyaare
Bhaghavaan, salaamat rahen maan-baap hamaare
Jab tak ki hain akaash pe chaand aur sitaare
Bhaghavaan, salaamat rahen maan-baap hamaare

Credits
Writer(s): Madan Mohan, Raja Mehdi Ali Khan
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link