Chaa Rahi Kaali Ghata

Chaa rahi kaali ghaṭa jiya mora lahraaye hai
Chaa rahi kaali ghaṭa
Sun ri koyal baanwari tu
Sun ri koyal baanwari tu kyoon malhaar gaaye hai
Chaa rahi kaali ghaṭa jiya mora lahraaye hai
Suno na suno na
Dil ki to zubaan naheen magar yih bolta hai tum se jo
Poochh lo, poochho na
Yeh dhaṛkanon men kya chhupa raha hai, aa ke khud hi jaan lo
Main kaise karoon bayaan kih darmiyaan hijaab hain
Ki meri peehu peehu mein dard be-hisaab hain

Ay papeeha aa idhar main bhi saraapa dard hoon
Aam par kyoon jam raha hai main bhi to aisi zard hoon
Farq itna hai kih us mein
Farq itna hai kih us mein ras hai mujh mein haaye hai
Chaa rahi kaali ghaṭa
Saare aazaaron se baṛh kar 'ishq ka aazaar hai
Aafaton mein jaan o dil ka ḍaalna be-kaar hai
Bewafa se dil laga kar kya koyi phal paaye hai
Chaa rahi
Ay papeeha chup khuda ke vaste ho zara
Raat aadhi ho chuki hai, ab tujhe kya gaya

Teri pipi se papeeha
Teri pipi se papeeha, pi mujhe yaad aaye hai
Chaa rahi kaali ghaṭa jiya mora lahraaye hai
Main kaise karoon bayaan kih darmiyaan hijaab hain
Ki meri peehu peehu men dard be-hisaab hain

Credits
Writer(s): Noor Nayyara, Sherry
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link