Nothing Is Impossible

Aakash ka soona pan mere tanha mann mein
Payal Chankaati tum aajao jeevan mein
Saansen lekar apni sangeet amar kardo
Banjao meet mere meri preet amar kardo
Jag ne cheena mujhse mujhe jo bhi laga pyaara
Sab jeeta kiye mujhse main har dum hee haara
Tum haar ke dil apna meri jeet amar kardo
Banjao meet mere meri preet amar kardo
Honton se chu lo tum mera geet amar kardo

Kahin dur jab din dhal jaaye saanjh ki dulhan badan churaye chupke se aaye
Mere khayaalon ke aangan mein koi sapnon ke deep jalaaye deep jalaaye
Kahin dur.
Kabhi toh yeh jab huwi bojhal saansen bhar aayi baithe baithe jab yunhin aankhen
Tabhi machal ke pyaar se chal ke chhuye par mujhe koi nazar na aaye nazar na aaye
Kahin dur jab din dhal jaye saanjh ki dulhan badan churaye chupke se aaye

Yaad hai mujhko tune kaha tha tumse nahi ruthenge kabhi
Dil ki tarah se aaj mile hain kaise bhala chutenge kabhi
Meri baahon mein beeti har shaam bewafa yeh bhi kya yaad nahin
Kya hua tera vaada woh kasam woh iraada
Woh kehne waley mujhko fareebi kaun fareebi hai yeh bata
Woh jisne gham liya pyaar ki khaatir ya jisne pyaar ko bech diya
Nasha daulat ka aisa bhi kya ki tujhe kuch bhi yaad nahin
Kya hua tera vaada woh kasam woh iraada(aaaa)

Shama kahe parwane se, pare chala jaa
meri tarah jal jayega, yahaan nahin aa
woh nahin sunta usko jal jaana hota hai
har khushi se, har gham se, begaana hota hai
(Sing it all of you)
pyaar dewaana hota hai, mastaana hota hai
har khushi se, har gham se, begaana hota hai

Zindagi ke safar mein, guzar jate hain jo maqaam
woh phir nahin aate, woh phir nahin aate
phool khilte hain, log milte hain
phool khilte hain, log milte hain yunhin
patjhad main jo phool murjha jate hain
woh baharon ke aane se khilte nahin
kuchh log jo yunhin bichad jate hain
woh hazaron ke aane se milte nahin
ek baar chale jaate hai jo dino-raat subho-shaam
woh phir nahi aate, woh phir nahi aate
Woh phir nahi aate, woh phir nahi aate!

Yeh jeevan hai, iss jeevan ka
Yahi hai, Yahi hai, Yahi hai rangroop
Thode gham hain, Thodi khushiyaan
Yahi hai, Yahi hai, Yahi hai chaon dhoop

Main pal do pal ka shayar hoon
Pal do pal meri kahaani hai
Pal do pal meri hasti hai
Pal do pal meri jawaani hai
Main pal do pal ka shayar hoon

Kabhi kabhi mere dil mein khayaal aata hai
Ki jaise tujhko banaya gaya hai mere liye
(Yeh jhoot bolte hain mere khayaal mein)
Ki jaise tujhko banaya gaya hai mere liye
Tu abse pehle phanwaaron mein bas rahi thi kahin
Tu abse pehle sitaaron mein bas rahi thi kahin
Tujhe zameen pe bulaya gaya hai mere liye
Kabhi kabhi mere dil mein khayaal aata hai
Ki jaise bajti hain shehnaaiyaan si raahon mein
Ki jaise bajti hain shehnaaiyaan si raahon mein
Suhaag raat hai ghoonghat utha raha hoon main
Suhaag raat hai ghoonghat utha raha hoon main
Simat rahi hai tu sharma ke apni baahon mein
Simat rahi hai tu sharma ke apni baahon mein
Simat rahi hai tu sharma ke apni baahon mein
Kahi kabhi mere dil mai khayal aata hai...



Credits
Writer(s): Bappi Lahiri, Indivar Gauhar Kanpuri
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link