Ghar Yaad Aata Hai Mujhe

Woh garmiyon ki raat, Woh jaade ki baat
Woh paani ka matka, rasoi ki aag
Sab satata hai mujhe
Ghar yaad aata hai mujhe...

Sathi ik sath ho, itni si baat hai
Woh ped woh aangan dikhana hai usey
Kehta hai roz mann mujhe
Ghar yaad aata hai mujhe...

Jin dilon mein raha barso tak
Ek hissa unme mera bhi tha
Phir wahin rehna hai mujhe
Ghar yaad aata hai mujhe...

Sehmi chokhat pe khade
Pyar karna ssekha tha tum se
Phir paana hai
Kitni doge sazaa, ab toh de do duaa
Ghar yaad aata hai mujhe...



Credits
Writer(s): Ram Sampath, Payyambra Jayakumar
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link