Yeh Baatein Jhoothi Baatein Hain

Ye batein jhuti batein hain(2)
ye logon ne phailayi hain
Ye batein jhuti batein hain
ye logon ne phailayi hain

tum inshaji ka naam na lo(2)
Kya inshaji saudai hain
Ye batein jhuti batein hain
ye logon ne phailayi hain
ye batein, ye batein

Hai lakhon rog zamane mein
kyon ishq hai ruswa bechara
hain aur bhi wajhe wahshat ki
insaan ko rakhti dukhiyara
haan bekal bekal rehta hai
wo preet mein jis ne dil hara
par shaam se lekar subho talak
yoon kaun phire hai awaara
Ye batein jhuti batein hain
ye logon ne phailayi hain
ye batein, ye batein

Gar ishq kiya hai tab kya hai
kyon shaad nahin abaad nahin
jo jaam liye bin chal na sake
ye aisi bhi ustad nahin
ye baat to tum bhi maano ge
wo kais nahin farhaad nahin
kya hijr ka daru mushkil hai
kya fasl muste yaad nahin
Ye batein jhuti batein hain
ye logon ne phailayi hain
Ye batein, ye batein

jo hum se kaho hum karte hain
kya insha ko samjhana hai
us ladki se bhi kehlenge
go ab kuchh aur zamana hai
ya chhodein ya takmeel karein
ye ishq hai ya afsana hai
ye kaisa gorakh dhanda hai
ye kaisa tanabana hai
Ye batein jhuti batein hain(2)
ye logon ne phailayi hain

tum inshaji ka naam na lo(2)
Kya inshaji saudai hain
Ye batein jhuti batein hain
ye logon ne phailayi hain
ye batein, ye batein
ye batein, ye batein
ye batein



Credits
Writer(s): Ibn-e-insha, Ghulam Ali Sh
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link