Khooni

Mar gaya ek or
Maar diya use bhi
Kuch apno ne
Kuch parayoo ne

Baat kahunga aaj
Me apni oer se
Jo kehna chahta tha me
Bahut varsho se

Ye duniya ka dastoor hai
Marna sabko jrur hai
Par umer se pehle maar dete hai
Ye kaisa usool hai

Thaa thaa krke maar de
Bachho Ke Irade Ko
Waqt se pehle hoshla gira
Dete hai tod deewaro ko

Ye bhokte hai jo raat din
Samaj ke naam pr
Darr darr ke kyu jeeta hai
Ab ek kaam kar

Zindagi ka kissa
Hissa tere saap ka
Na ro tu laachar bankar
Na kha rha inke baap ka

Na duniya me jee payega
Na kr paayega kuch bhi
Is duniya ko na sunn
Ni toh marr jayega tu bhi

Is jahan ne rehna hai toh reh khulkr
Na soch kisi ke baare me tu reh khudgarj

Na payega tu ban jo banna hai ban
Is kalug me jeena hai toh raavan ban

Khada ho aur lagja apne aap ko banane me
Jo bhi krna hai kar apne karam ko jagane me
Na piche mud ke dekh na soch na rukh kahi
Jaha sapne le jaaye tujhko jaa tu wahi

Na apne dekh na paraye
Na koi raah par
Bas tu chalta ja
Patti baadh ankhon pr

Rishtedaar aur samaj se na rakh waasta
Ye sab saale matlabi hai

Haan ye khooni hai
Haan wo khooni hai
Samaj saala khooni hai
Ye log saale khooni hai

Khooni hai ye baccho ke irado ke
Khooni hai ye baccho ke sapno ke
Khooni hai ye baccho ki soch ke
Khooni hai ye khooni

Na chhod apna future
Is panne ke haath me
Na jaa tu dabab me
Bheedon ke saath me

Padhai ke bina bhi future hai tera
Wo hai sirf or sirf tere haath me

Kyun marne ki keh rha tu
Na koi royega
Tere maa baap ke alawa
Tujhe na koi khoyega

Ye marksheet teri future me
Kuch na kar paayegi
Aage date of birth dikhane
Ke kaam aayegi

Na wo ek panna bhavishya banega koi
Apne ko sambhal ithihaas rachega tu hi
Result se aage bhi duniya hai teri
Na jrurat poori kregi percentage teri

Na kabiliyaat teri
Un numbero se hai
Na teri pehchan un kagajoo se hai
Tere apne bhi hai matlabi
Sab saale khookhle
Unse jaake keh de aaja
Tu bhi bhok le



Credits
Writer(s): Tanuj Vashistha
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link