Noore Khuda Hai Husan Sarapa

Noor e khuda hai husn sarapa rasool ka

Noor e khuda hai husn sarapa rasool ka
Khud hi khuda e pak hai shaida rasool ka
Jab kuch ni tha sirf khuda hi ki zaat thi
Is din ka tha wajood na mojood raat thi
Jeenay ka tazkra tha na marny ki baat thi
Us waqt bhi tha noor e mujala rasool ka

Ye aasman ye chand sitaary unhi sy hain
Jitny hain dil nasheen nazaary unhi sy hain
Teeson kuraan pak k paary unhi sy hain
Takhleek e qainaat hai sadka rasool ka
Hazrat umar ki daikhi ye takdeer yun bani
Nikly thy katal ki niyat sy jis ghari
Talwar chut k haatho sy kadmon mai gir pari
Daikha unho ny jb rukh rasool ka

Aati hai jb ye baat hamary khyyal mai
Milta nahi hai waqiya koi misaal mai
Kia moajza hua hai in taeen saal mai
Saary jahan ny parh lia kalma rasool ka



Credits
Writer(s): Rahat Fateh Ali Khan
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link