Jaana Kyun Hai Duur

Apni Chhoti si ek duniya badi shiddat se banayi
Iss mein hi main har saans loon
Jholi mein yaadein sameti hai barso purani
Yaadon mein har din kaat loon
Saamne mere nayi duniya, naya rasta
In yaadon ko chhodu, inka kya Kasur
Fir jaana kyun hai duur, Duurr
Fir jaana kyun hai duur, Wooo
Fir jaana kyun hai duur

Har pal aasaan hai, fir kyun mann ro raha hai
Ghar ki chadar mein, har armaan so raha hai
Kyun har lamha, bas yun hi kat raha
Paas hai mere apno ki har dua
Unke aasron ko karu kaise chakna chuur
Toh jaun kyun main duur, Duur
Fir jaana kyun hai duur, Wooo
Fir jaana kyun hai duur, Wooo

Kab tak kass ke thamoge mera haath
Kab tak rokunga main apne jazbaat
Tab tak na kismat se hogi meri mulaqat
Jab tak mann maarke deta rahunga saath
Ghar ki deewarein ab rokti hai
Mann ki aawazein jo bhi bolti hai
Yaadon ki imaraton ko tod ke hi
Ayegi nazar sapno ki nagari
Do pal ki zindagi, kab jeena kab marna hai
Har armaan ko jo ab poora karna hai
Toh, Jaana padega duur
Jaana padega duur, Duur, Duur
Jaana padega duur, Duur, Duur
Jaana padega duur, Duur



Credits
Writer(s): Prateek Pandey
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link