Baatein Zaroori

Baatein teri meri har din har pal zaroori
Thodi bhi deri chubhti sau dafa
Baatein iski uski fir chahein ho jiski bhi
Pal bhar me hi bas mann bhar jaaye na

Hui jo shuru baat dilo ki toh
Raste pe chalne laga tere peeche
Yeh saare sawaal khade hain jo
Puche bina hi bata dein ishaare tere

Raste ki saari galiyon me jaana hai
Haste hue yeh din bhi bitana hai
Jo jo bola hai woh karke dikhana hai
Dil bhi rijhana hai aakar ke tujhko batana hai

Baatein teri meri har din har pal zaroori
Thodi bhi deri chubhti sau dafa
Baatein iski uski fir chahein ho jiski bhi
Pal bhar me hi bas mann bhar jaaye na

Mili thi jabse suhani si
Palkein chamakne lagi hain
Gaalo taley yeh hasi bhi toh
Jamke jhalakne lagi hain tumpe

Duniya ki saari khushiyan barsaani hai
Teri meri yeh paheli suljhani hai
Sapne bhi samandar ka paani hai
Apni kahani hai aakar ke tujhko batani hai

Baatein teri meri har din har pal zaroori
Thodi bhi deri chubhti sau dafa
Baatein iski uski fir chahein ho jiski bhi
Pal bhar me hi bas mann bhar jaaye na



Credits
Writer(s): Jatin Sharma
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link