Kismat Chpt. 1

San do hazaar aaya desh
Mein leke sapne chaar
Mila maa ka pyaar
Khade kuch rishtedaar
Baap bola Masti khor
Thoda ziddi aur kathore
Ek se kabhi sehmat nahi
That's why son We need it more
Fir aayi Umar chaar
School mein teacher ki vo maar
Alter saare chokhre
Aur lafde saare Beshumaar
Kar dete yaha bezubaan
Badon ki yahan baat tu maan
Aaye nange ek samaan
Haath mein mere teer kamaan
Fir milta gaya saath
Jab aayi Umar saath
Guru aaj bhi badla nahi
Sandeep mere saath
Sangeet se mein mashook
Aur cypher waala part
Dimaag me sirf art
Jab aayi Umar aath
Fir laya ghrpe Beyblade
First Love Bae played
Sangat thodi battar
Pehla sutta mera gold flake
Umar meri nau
Pade jeb mein rupaye sau
Pocket money saal ka
Son, we faced it out raw
Umar das me aayi TB
Maario ki aayi CD
Piyush mera mehnati aur
Farishton ki aayi peedhi
Hua beshara umar aayi meri gyarah
Baap ne choda haath
Padhayi pe dhyaan de nahi paa raha
Maa meri rooti gayi
Neendon me vo sooti nahi
Behen meri CA
Sirf luck se yaha pohochi nahi
Lagan thi vo kattar
Rishton se thoda hatkar
Vo karti gayi mehnat
Kabhi khudh se nahi sehmat
Kaatein kaise din,
Sirf paisa paisa kehmath
Teen waqt teen khana
Pair me uske aashiyana
Jungle game jungle mantra
Galiyon mein me sadh raha
Umar aayi pandra ha
Tabse kuch bhi bakk raha
Roota raha ghut ke andar
Koi nahi yaha sunn raha
Roota raha ghut ke andar
Koi nahi yaha sunn raha

Umar aayi solah
Jab aawaaz apni khola
Satra athra unnis bees
Pyaar ke naam pe paitis piece
Dost mere velle bethe
High ke naam pe patte ghiss
High ke naam pe patte ghiss aur
High ke naam pe patte ghiss
Kabhi joint nhi maara
Phir bhi joined raha rishton mein
Central waala short jaise
IPhone liya kisthon mein
Hisson mein sirf chahiye
Mujhko ek khwaaish
Dimaag se mein sattar
Aur umar meri aayi bayis
Kuch bhi haasil nhi hua
Laga hu mein sapno mein
Paise itna nhi tu
Nike likh de kapdon pe
Haan



Credits
Writer(s): Rohan Attery
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link