Dekha Teri Mast - Live

Dekha teri mast nigahon mein
Nasha hai ada hai mohabbat hai ho
Aaja tujhe baahon mein le loon main
Roop yeh ghazab hai qayamat hai
Dhadkanein tezz ho jaane do
Pyar mein hosh kho jaane do

Dekha teri mast nigahon mein
Nasha hai ada hai mohabbat hai
Dekha teri mast nigahon mein

Yeh husn aur yeh mastiyan
Chhaane lagi hai madhoshiyan
Uff do dilon ke saaz par
Gaane lagi hai khamoshiyan
Apni zulfon ki khushbu uda

Aur mujhko deewana bana
Dekha teri mast nigahon mein
Nasha hai ada hai mohabbat hai

Dekha teri mast nigahon mein

Ruswaiyon se darta hai man
Achchha nahin deewanapan
Toone mujhe kyon chhu liya
Kaanp utha mera badan

Yoon na dekho mujhe o sanam
Dagmagaane lage hain kadam
Dekha teri mast nigahon mein
Shokhi hai ghazab ki shararat hai
Kaise teri baahon mein aaoon main
Rop yeh sharam ki amaanat hai

Pyar yoon na jatao sanam
Sharm aati hai jao sanam
Dekha teri mast nigahon mein

Shokhi hai ghazab ki shararat hai
Dekha teri mast nigahon mein

Sun yeh sama kehta hai kya
Ruswaiyon ka dar bhool ja
Dil ko sanam samjha zara
Yoon na mere nazdeek aa
Aankh jhukne lagi hai meri
Sunke baatein yeh jaadoo bhari
Dekha teri mast nigahon mein
Nasha hai ada hai mohabbat hai
Ho dekha teri mast nigahon mein
Shokhi hai ghazab ki shararat hai



Credits
Writer(s): Kumar Sanu
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link