Kuchh Na Kaho (From "1942-A Love Story")

Kuchh na kaho kuchh bhi na kaho
Kuchh na kaho kuchh bhi na kaho
Kya kehna hai kya sunna hai
Mujhko pata hai tumko pata hai
Samay ka ye pal tham sa gaya hai
Aur is pal mein koi nahin hai
Bas ek main hoon
Bas ek tum ho

Kuchh na kaho kuchh bhi na kaho.

Kitne gehre halke shaam ke rang hai chhalke
Parvat se yun utre baadal jaise aanchal dhalke
Kitne gehre halke shaam ke rang hai chhalke
Parvat se yun utre baadal jaise aanchal dhalke
Aur is pal mein koi nahin hai
Bas ek main hoon
Bas ek tum ho

Kuchh na kaho kuchh bhi na kaho.

Sulgi sulgi saansein behki behki dhadkan
Mehke mehke shaam ke saaye pighle pighle tan maan
Sulgi sulgi saansein behki behki dhadkan
Mehke mehke shaam ke saaye pighle pighle tan maan
Aur is pal mein koi nahin hai
Bas ek main hoon
Bas ek tum ho

Kuchh na kaho kuchh bhi na kaho
Kya kehna hai kya sunna hai
Mujhko pata hai tumko pata hai
Samay ka ye pal tham sa gaya hai
Aur is pal mein koi nahin hai
Bas ek main hoon
Bas ek tum ho.



Credits
Writer(s): Javed Akhtar, Shankar Ehsaan Loy
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link