Too Mera Hero Hai

Mera jaanam, mera saajan
Mera saajan, mera baalam
Mera baalam, mera majnu
Mera majnu, mera raanjha, jaanu

Tu mera jaanu hai, tu mera dilbar hai
Tu mera jaanu hai, tu mera dilbar hai
Meri prem kahani ka tu hero hai
Par prem granth ke pannon par
Apni taqdeer to zero hai, ho

Tu mera jaanu hai, tu mera dilbar hai
Meri prem kahani ka tu hero hai
Par prem granth ke pannon par
Apni taqdeer to zero hai, ho

Dilwaalon mein na koi ameer hota hai
Na gareeb hota hai
Kisi-kisi ko yeh pyaar naseeb hota hai
Kisi-kisi ko yeh pyaar naseeb hota hai

Dil ki duniya se yeh duniya door hoti hai
Dil kareeb hota hai
Koi-koi aisa khushnaseeb hota hai
Koi-koi aisa khushnaseeb hota hai

Teri baatein tu hi jaane
Main to bas itna jaanun
Jaanu, jaanu, jaanu

Tu mera jaanu hai, tu mera dilbar hai
Meri prem kahani ka tu hero hai
Par prem granth ke pannon par
Apni taqdeer to zero hai, ho

Premi ke haathon mein prem lakir hoti hai
Tahreer hoti hai
Nahi-nahi aankhon mein tasveer hoti hai

Pyaar woh karte hain jinki takdeer hoti hai
Jageer hoti hai
Kuchh bhi ho lekin Raanjhe ki Heer hoti hai
Kuchh bhi ho lekin Raanjhe ki Heer hoti hai

Yeh sab kisse hain purane
Main to bas itna jaanun

Ki prem granth ke pannon par
Apni taqdeer to zero hai, ho
Ki prem granth ke pannon par
Tu mera hero hai, ho

Itna kaafi hai tu mujhe pyaar karta hai
Ikraar karta hai
Yaad tujhe ek pal mein dil sau baar karta hai
Dekhein kaun juda humko dildaar karta hai
Inkaar karta hai
Pyaar kahan logon ka intezaar karta hai

Teri baatein tu hi jaane
Main to bas itna jaanun
Jaanu, jaanu, jaanu, jaanu, jaanu

Main tera jaanu hoon, tu meri dilbar hai
Main tera jaanu hoon, tu meri dilbar hai
Par prem granth ke pannon par
Tu mera hero hai, ho

Main tera jaanu hoon, tu meri dilbar hai
Main tera jaanu hoon, tu meri dilbar hai
Main tera jaanu hoon, tu meri dilbar hai



Credits
Writer(s): Anand Bakshi, Kudalkar Laxmikant, Pyarelal Ramprasad Sharma
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link