Humne Suna Hai

Humne suna hai, tumne jeevan saathi chuna hai
jisko tumne chun hi liya hai,
cheejh wo kya hai...
kahi hoga na aisa ek bhi, hoshiyaar bhi hai aur nek bhi, use duniya me sab kahete hai achchha
kabhi jhuth nahi wo bolta, kabhi zahar nahi wo gholata,
wo dil ka saaf hai aur bilkul sachcha,
samjhe bachcha...
Humne suna hai, tumne jeevan saathi chuna hai
jisko tumne chun hi liya hai,
cheejh wo kya hai...
par raara raara... tu tu ru ru... par raara raara, tu tu ru ru...
ye to batao hume samjhao hai kis gharaane ka wo
wo nahi aisa waisa nahi tumhare jaisa
hai naye zamaane ka wo
kahi pada use kya paaya tha
ya wo khud rota aaya tha
humse to kaho hum par yakeen kardo
jo tumne ishaara kiya,
maine pahele hi tha keh diya
ladke ki puri chhanbin kardo
chup bhi raho...
Humne suna hai, tumne jeevan saathi chuna hai
jisko tumne chun hi liya hai,
cheejh wo kya hai...
Chup raheta hai ya bole jaata hai
kya bor karta hai wo
jaaye kahi wo jo baate kare to
eek rang bharta hai wo...
Indian hai ya angarej hai
wo seedha hai ya Tez hai
Himmatwala hai kya mere jaisa
Nikkama hai ya kaam ka
pati bane ga bas kya naam ka
wo jaisa bhi ho par na Ho waisa
...Aisa Waisa...
Humne suna hai, tumne jeevan saathi chuna hai
jisko tumne chun hi liya hai,
cheejh wo kya hai...
Tumne suna hai, tumne bilkul thik suna hai, maine jeevan saathi chuna hai
kyu kahu kya hai...
cheez wo kya hai...
kyu kahu kya hai...



Credits
Writer(s): Pritaam Chakraborty, Javed Akhtar, Jeet Ganguly
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link