Badan Mein Aag Si

Badan Main Aag Si Chehra Gulaab Jaisa Hai

Ki Zeher e Gham Ka Nasha Bhi Sharab Jaisa Hai

Kahan Wo Qurb Ki Ab Tou Ye Haal Hai Jaise

Tere Firaaq Ka Aalam Bhi Khwab Jaisa Hai
Badan Main Aag Si Chehra Gulaab Jaisa Hai
Magar Kabhi Koi Dekhe, Koi Padhe Tou Sahi

Dil Aaeena Hai Tou Chehra Kitaab Jaisa Hai
Badan Main Aag Si Chehra Gulaab Jaisa Hai
Wo Saamne Hai Magar Tishnagi Nahi Jaati
Wo Saamne Hai Magar Tishnagi Nahi Jaati
Ye Kya Sitam Hai Ki Darya Saraab Jaisa Hai
Badan Main Aag Si Chehra Gulaab Jaisa Hai
'FARAZ' Sang e Malamat Se Zakhm Zakhm Sahi

Hamen Azeez Hai Khana Kharab Jaisa Hai
Badan Main Aag Si Chehra Gulaab Jaisa Hai
Badan Main Aag Si Chehra Gulaab Jaisa Hai
Ki Zeher e Gham Ka Nasha Bhi Sharab Jaisa Hai
Badan Main Aag Si Chehra Gulaab Jaisa Hai

Credits
Writer(s): Ghulam Ali, Ahmad Faraz
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link