Yeh Zindagi Kuchh Bhi Sahi

ye zindagi kuch bhi sahi par ye mere kis kam ki

jiske liye jite hai log
jiske liye jite hai log bas hai kami us naam ki
ye zindagi kuch bhi sahi par ye mere kis kam ki

jisko nahi hai arman koi kaisi jawani hai ye

jiska nahi hai unwan koi aisi kahani hai ye
na hai khabar aagaz ki
na hai khabar aagaz ki, na hai khabar anzam ki
ye zindagi kuch bhi sahi par ye mere kis kam ki

pyasa raha mai meri gali me sawan barsata raha

mele me jaise koi akela aise tarsata raha
puchho na ye kaise bhala
puchho na ye kaise bhala maine subah se sham ki
ye zindagi kuch bhi sahi par ye mere kis kam ki

dil bahalane ko likhte hai dil ke kisse fasano me log

rakhate hai hire moti saza ke apni dukano me log
bazar me kimat hai kya
bazar me kimat hai kya tute huye is jaam ki
ye zindagi kuch bhi sahi par ye mere kis kam ki
jiske liye jite hai log
jiske liye jite hai log bas hai kami us nam ki

Credits
Writer(s): Anand Bakshi, R. D. Burman
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link