Han Yeh Mana Meri Jaan

Tauba tauba ye jawani ye jawani ka garoor
Ishq ke saamne sar phir jhukana hi pada
Kaisa kahte the na aayenge
Na aayenge magar
Dil ne is tarah pukara tumhe aana hi pada

Ye mana meri jaan mohabbat saza hai
Ye mana meri jaan mohabaat saza hai
Maza isme itna magar kisliye hai
Maza isme itna magar kisliye hai
Wo ik bekarari jo ab tak idhar thi
Wo hi bekarari udhar kisliye hai
Abhi tak to idhar thi udhar kisliye hai
Kisliye hai haan kisliye hai
Haan ye maana meri jaan mohabbat saza hai
Maza isme itna magar kisliye hai
Maza isme itna magar kisliye hai

Behelna na jaane badalna na jaane
Tamanna machal ke sambhalna na jaane
Haan tamanna machal ke sambhalna na jaane
Behelna na jaane badalna na jaane
Haaye tamanna machal ke sambhalna na jaane
Oh ho ho Behelna na jaane badalna na jaane
Haaye tamanna machal ke sambhalna na jaane
Oh ho ho Behelna na jaane badalna na jaane
Tamanna machal ke sambhalna na jaane
Haan tamanna machal ke sambhalna na jaane

Kareeb aur aao kadam to badhao
Jhuka doon na main sar to sar kis liye hai
Jhuka doon na main sar to sar kis liye hai
Ye mana meri jaan mohabbat saza hai
Maza isme itna magar kisliye hai
Maza isme itna magar kisliye hai

Nazare bhi dekhe ishare bhi dekhe
Kai khubsurat sahare bhi dekhe
Kai khubsurat sahare bhi dekhe
Nazare bhi dekhe ishare bhi dekhe
Kai khubsurat sahare bhi dekhe
Nam kya cheez hai izzat kya hai
Sone chandi ki haqikat kya hai
Lakh behlaaye koi daulat se
Pyaar ke saamne daulat kya hai
Oh ho ho nazare bhi dekhe ishare bhi dekhe
Kai khoobsurat sahare bhi dekhe
Haan Kai khoobsurat sahare bhi dekhe
Jo mekhane jaake main sagar uthaaun
To phir ye naseeli nazar kisliye hai
To phir ye naseeli nazar kisliye hai
Haan Ye mana meri jaan mohabbat saza hai
Maza isme itna magar kisliye hai
Maza isme itna magar kisliye hai



Credits
Writer(s): Madan Mohan, Kaifi Azmi
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link