Kahe Paise Pe

Chaar paise kya mile
Kya mile bhai kya mile
Khud ko samahj baithe khuda
Woh khuda hi jaane ab hoga tera anjaam kya
Kaahe paise pe kaahe paise pe
itna guroor kare hai
Kaahe paise pe itna guroor kare hai
Yahi paisa toh yahi paisa toh apno se door kare hai door kare hai
Kaahe paise pe itna guroor kare hai guroor kare hai

Sone chandi ke unche mehlon mein
Dard zyada hai chain thoda hai
Dard zyada hai chain thoda hai
Iss zamaane mein paise waalon ne
Pyaar chheena hai dil ko toda hai
Pyaar chheena hai dil ko toda hai
Paise ki ahemiyat se toh inkaar nahi hai
Paisa hi magar sab kuchh sarkaar nahi hai
Insaan insaan hai paisa paisa hai
Dil hamaara bhi tere jaisa hai
Hai bhala paisa toh bura bhi hai
Yeh zeher bhi hai yeh nasha bhi hai
Yeh zeher bhi hai yeh nasha bhi hai
Yeh nasha koi yeh nasha koi dhoka zaroor kare hai
Yahi paisa toh haan yahi paisa toh apno se door kare hai door kare hai
Kaahe paise pe itna guroor kare hai
guroor kare hai

Are chale kahaan...
Yeh paise se kya kya tum yahan khareedoge
Dil khareedoge ya ke jaan khareedoge
Bazaaron pyaar kahaan bikta hai
Dukaano pe yaar kahaan bikta hai
Phool bik jaate hain khushboo bikti nahi
Jism bik jaate hain rooh bikti nahi
Chain bikta nahi khwaab bikte nahi
Dil ke armaan betaab bikte nahi
Are paise se kya kya tum yahaan khareedoge aye dil khareedoge ya ke jaan khareedoge

Hey inn hawaaon ka mol kya doge
Unn ghataaon ka mol kya doge
Are inn zameeno ka mol ho shaayad
Aasmaano ka mol kya doge
Inn hawaaon ka mol kya doge
Unn ghataaon ka mol kya doge
Inn zameeno ka mol ho shaayad
Aasmaano ka mol kya doge
Paas paisa hai toh hai yeh duniya haseen duniya haseen
Ho zaroorat se zyada toh maano yakeen maano yakeen
Yeh dimago mein yeh dimago mein paida fitoor kare hai
Yahi paisa toh yahi paisa toh apno se door kare hai door kare hai
Kaahe paise pe itna guroor kare hai guroor kare hai



Credits
Writer(s): Anjaan, Anandji V Shah, Kalyanji Virji Shah
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link