Unka Khayal

Unka Khayal aate hi, ek aur khayal aaya.
Muddat huyi hai yaar ka koi na haal aaya.
Unka khayal aate hi...
Saawan me rut na barsi na basant phool laya.
Tere pyar me tere bin aisa bhi saal aaya.
Unka khayal aate hi.
Chahoge bhi to mujhko ab dhoondh na sakoge.
Maazi ki qaid me main khud ko sambhal aaya.
Unka khayal aate hi.
Tasveer dekhta hun har roz main tumhari.
Kya tumko bhi kabhi yun mera khayal aaya.
Unka khayal aate hi.
Jitne bhi khat likhe the shikve shikayaton ke.
Mai aaj subah tere darwaaje daal aaya.
Muddat huyi hai yaar ka, koi na haal aaya.
Unka khayal aate hi ek aur khayal aaya.



Credits
Writer(s): Misra Neelesh, Amartya Rahut
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link