Mera Dushman Tu Meri Dosti Ko Tarse

mere dil se sitamgar
toone acchi dillagi ki hai
ke ban ke dost
apne doston se dushmani ki hai
mere dushman tu meri dosti ko tarse
mere dushman tu meri dosti ko tarse
mujhe gham dene wale tu khushi ko tarse
mere dushman...
tu phool bane patjhad ka
tujh pe bahaar na aaye kabhi
meri hi tarah tu tadpe
tujh ko karaar na aaye kabhi
tujh ko karaar na aaye kabhi
jiye tu is tarah ke zindagi ko tarse
mere dushman tu meri dosti ko tarse.
mere dushman...
itna to asar kar jayein
meri wafaayein o be wafa
ik roz tujhe yaad aayein apni jafaayein o be wafaa
apni jafaayein o be wafaa
pashemaan ho ke roye tu hansii ko tarse
mere dushman tu meri dostiii ko tarse
mere dushman...
tere gulshan se zyada veeran koi veerana na ho
is duniya me koi tera apna to kya begaana na ho
apna to kyaa begaana na ho
kisi ka pyaar kya tu berukhi ko tarse
mere dushman tu meri dosti ko tarse
mujhe gham dene wale tu khushi ko tarse
mere dushman



Credits
Writer(s): Anand Bakshi, Laxmikant Pyarelal
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link