Jaon Kahan Bata Ae Dil

Jis gali mein tera ghar na ho balma
Us gali se hamein to guzarna nahin
Jo dagar tere dwaare pe jaati na ho
Us dagar pe hamein paanv rakhna nahin
Jis gali mein tera ghar na ho baalma

Zindagi mein kai rang-raliyaan sahi
Har taraf muskurati yeh kaliyaan sahi.
Zindagi mein kai rang-raliyaan sahi
Har taraf muskurati yeh kaliyaan sahi
Khoobsurat baharon ki galiyaan sahi.
Jis chaman mein tere pag mein kaante chubhe.
Jis chaman mein tere pag mein kaante chubhe
Us chaman se hamein phool chun-na nahin
Jis gali mein tera ghar na ho balma

Haan yeh rasmein yeh kasmein sabhi tod ke
Tu chali aa chunar pyaar ki odh ke

Haan yeh rasmein yeh kasmein sabhi tod ke
Tu chali aa chunar pyaar ki odh ke
Ya chala jaoonga main yeh jag chhod ke...
Jis jagah yaad teri sataane lage
Jis jagah yaad teri sataane lage
Us jagah ek pal bhi theharna nahin

Jis gali mein tera ghar na ho balma
Us gali se hamein to guzarna nahin
Jo dagar tere dwaare pe jaati na ho
Us dagar pe hamein paanv rakhna nahin
Jis gali mein tera ghar na ho baalma...



Credits
Writer(s): Jaikshan Shankar, Jaipuri Hasrat
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link