Musafir Hein Hum

Musafir hain hum to chale jaa rahein hain
Bada hi suhaana ghazal ka safar hai
Musafir hain hum to chale jaa rahein hain
Bada hi suhaana ghazal ka safar hai
Pata puchhate ho to itna pata hai
Hamara thikana gulaabi nagar hai
Musafir hain hum to...

Ghazal hi hamara anokha jahaan hai
Ghazal pyaar ki woh haseen dastan hai
Ghazal hi hamara anokha jahaan hai
Ghazal pyaar ki woh haseen dastan hai
Isse jo bhi sunta hai woh jhoomta hai
Woh jadu hai ismein kuch aisa asar hai
Musafir hain hum to

Na koi thakan hai na koi khalish hai
Mohabbat ki jaane ye kaisi kashish hai
Na koi thakan hai na koi khalish hai
Mohabbat ki jaane ye kaisi kashish hai
Jise dekhiye woh chala jaa raha hai
Jahan-e-ghazal ki suhani dagar hai
Musafir hain hum to

Wali meer momin ne isko nikhara
Jigar daag Ghalib ne isko sanwara
Wali meer momin ne isko nikhara
Jigar daag Ghalib ne isko sanwara
Isse mausiki ne gale se lagaya
Ghazal aaj duniya ke pesh-e-nazar hai
Musafir hain hum to

Yehi hai hamara talluk ghazal se
Hum iske liye ye hamare liye hai
Yehi hai hamara talluk ghazal se
Hum iske liye ye hamare liye hai
Ye apni kahani zamane mein Hasrat
Sabhi ko pata hai sabhi ko khabar hai
Musafir hain hum to chale jaa rahein hain
Bada hi suhaana ghazal ka safar hai
Pata puchhate ho to itna pata hai
Hamara thikana gulaabi nagar hain
Musafir hain hum to.



Credits
Writer(s): Hasrat Jaipuri, Ahmed Hussain, Mohd. Hussain
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link