Dekho Rootha Na Karo Tere Ghar Ke Samne (Commentary)

Tu kahaan, ye bata, is nashili raat men
maane na mera dil deewaana
haay re... maane na mera dil deewaana

he... bada natakhat hai sama \- 2
har nazaara hai javaan
chha gaya chaaron taraf,
meri aahon ka dhuaan
dil mera, meri jaan, na jaana tu kahaan...

o o aai jab thandi hava \- 2
maine poochha jo pata
vo bhi kataraake gai, aur bechain kiya
pyaar se, tu mujhe, de sada tu kahaan...

he chaand taaron ne suna \- 2
in bahaaron ne suna
dard ka raag mera,
rahaguzaaron ne suna
tu bhi sun, jaaneman,
aa bhi ja tu kahaan...

o o pyaar ka dekho asar \- 2
aae tum thaame jigar
mil gai aaj mujhe,
meri man-chaahi dagar
kyun chhupa, ek jhalak, phir dikha tu kahaan, ye bata, is nashili raat men
maane na mera dil deewaana
haay re... maane na mera dil deewaana



Credits
Writer(s): Jaipuri Hasrat, S.d. Burman
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link