Aasmaan Ke Paar (From "Rockford")

Aasmaan ke paar shaayad aur koi aasmaan hoga - (2)
Baadalo ke parbato par koi baarish ka makaan hoga
Main hawa ke paro pe kaha ja raha hu kaha
Kabhi udta huwa, kabhi mudta huwa
Mera raasta chala o ho ho ho

Main hawa ke paro pe kaha ja raha hu kaha
Mere paanv ke tale ki yeh zameen chal rahi hai
Kahi dhup thandi thandi, kahee chhaanv jal rahi hain
Iss zameen ka aur koi aasmaan hoga, hoga aasmaan, ho aasmaan hoga
Main hawa ke paro pe kaha ja raha hu kaha

Inn lambe raaston par sab tez chalte honge - (2)
Copy ke panno jaise yaha din palatte honge
Shaam ko bhi subah jaisa kya sama hoga
Hoga kya sama, kya sama hoga
Main hawa ke paro pe kaha ja raha hu kaha

Aasmaan ke par shaayad aur koyi aasmaan hoga
Aur koyi aasmaan hoga

Badalon ke parbaton par koi baarish kaa makaan hoga, hoga
Ho mai hawa ke paro pe kaha ja raha hu kaha
Kabhi udta huwa, kabhi mudta huwa
Mera raasta chala o ho ho ho

Main hawa ke paro pe kaha ja raha hu kaha - (3)



Credits
Writer(s): Ehsaan Noorani, Shankar Mahadevan, Gulzar, Aloyius Peter Mendonsa
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link