Zehal-E-Maskeen

Zihaal-e-miskin makun-baranjish,
Bahaal-e-hijra bechara dil hai.
Sunai deti hai jiski dhadkan,
Tumhara dil ya hamara dil hai.

Woh aake pehloo mein aise baithe,
Ke shaam rangeen ho gayi hai.
Zara zara se khili tabiyat,
Zara se ghamgeen ho gayi hai.

Ajeeb hai dil ke dard yaaron,
Na ho to mushkil hai jeena iska.
Jo ho to har dard ek heera,
Har ek gam hai nageena iska.

Kabhi kabhi shaam aisi dhalti hai,
Ke jaise ghunghat utar rahi hai.
Tumhaare seene se uthta dhuaan,
Hamare dil se guzar raha hai.

Ye sharm hai ya haya hai kya hai,
Nazar uthate hi jhuk gayi hai.
Tumhari palkon se girke shabnam,
Hamari aankhon mein ruk gayi hai.

Zihaal-e-miskin makun-baranjish,
Bahaal-e-hijra bechara dil hai.
Sunai deti hai jiski dhadkan,
Tumhara dil ya hamara dil hai.



Credits
Writer(s): Traditional, Maqbool Ahmed Sabri
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link