Astagfirullah

Minnatein ansuni hui,
Mannatein poori na hui,
Sajde mein sar jhuka raha,
Ik nayi umeed si jagi,

Oh Allah malik-e,
Do jahaan tu hai
Oh Allah hai yakeen,
Ki yahaan tu hai,

Astagfirullah,
Mujhko tu de panaah,
Astagfirullah,
Meri sun le dua,

Ho Allah malik-e,
Do jahaan tu hai,
Astagfirullah,
Rabbi wa Atubu ilaahi.

Main tere darr,
Pe aaya hun,
Dil mein gum,
Aankhon mein aansoo,

Hai malaal yeh gunaahon ka,
Jholi mein bhar de tu sukoon.

Oh Allah malik-e,
Do jahaan tu hai,
Oh Allah hai yakeen,
Ki yahaan tu hai,

Astagfirullah,
Rabbi wa Atubu ilaahi.

Marz hai rooh ka,
Shifaa-shifaa mile,
Aafatein woh Khuda,
Fanaa-fanaa kare, Astagfirullah,
Mujhko tu de panaah,
Astagfirullah,
Meri sun le dua,

Ho Allah malik-e,
Do jahaan tu hai,
Astagfirullah
Rabbi wa Atubu ilaahi.



Credits
Writer(s): Sulaiman Sadruddin Merchant, Salim Sadruddin Merchant, Irfan Siddiqui
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link