Tujhse Naraz Nahin Zindagi - From "Masoom"

Tujse naaraaz nahin zindagi
Hairaan hoon main
Ho hairaan hoon main
Tere maasoom sawaalon se
Pareshaan hoon main
Ho pareshaan hoon main

Tujse naaraaz nahin zindagi, hairaan hoon main
Ho hairaan hoon main
Tere maasoom sawaalon se pareshaan hoon main
Ho pareshaan hoon main

Jeene ke liye socha hi nahin
Dard sambhaalne honge
Jeene ke liye socha hi nahin
Dard sambhaalne honge
Muskaaye toh, muskurane ke
Karz utaarne honge
Ho muskaaun kabhi toh lagta hai
Jaise honth pe karz rakha hai
Ho tujse naaraaz nahin zindagi, hairaan hoon main
Ho hairaan hoon main

Zindagi tere gam ne hamein
Rishte naye samjhaaye
Zindagi tere gam ne hamein
Rishte naye samjhaaye
Mile jo hamein dhoop mein mile
Chhanv ke thande saaye

Ho tujse naaraaz nahin zindagi, hairaan hoon main
Ho hairaan hoon main

Aaj agar bhar aayi hai
Boondein baras jayegi
Aaj agar bhar aayi hai
Boondein baras jayegi
Kal kya pata kinke liye
Aankhein taras jayegi
O jaane kab gum hua, kahaan khoya
Ik aansu chhupa ke rakha tha

Ho tujse naaraaz nahin zindagi, hairaan hoon main
Ho hairaan hoon main
Tere maasoom sawaalon se pareshaan hoon main
Ho pareshaan hoon main
Ho pareshaan hoon main
Ho pareshaan hoon main



Credits
Writer(s): R.d. Burman, Gulzar, Siddhesh Gurav
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link