Jeena Kya

Ek zara josh mein jo aaye
Chaand ko bhi woh zameen pe laaye
Woh bhawar mein jo kabhi gir jaaye
Ek tinka aadmi ko bachaye
Jung abhi jeeta nahin hain yaaro
Main bhi haara nahin hoon yaaro

Jeena kya jeevan se haar ke...(3)
Jo har saas ji gaya marne ka usko gham nahin...(2) Kehti hai dhaara kehta hai gagan
Kehta hai yeh mann jis mein hai lagan
Dil tutne pe bhi nagmein gaaye pyaar ke pyaar ke pyaar ke
Jeena kya jeevan se haar ke...(2)
Kali ghaneri raat mein chandni khil jaayegi
Tujhe andhero mein kahin roshni mil jaayegi
Rehta nahin saari umr saathi yeh gardish ka safar
Deti hai manzil ka pata kaaton badi mushkil dagar
Hoga kal kya soch na jo bhi hai bus aaj hai
Kab kahan jaaye badal waqt ka yeh mijaaz hai
Kya hai sukh aur dookh hai kya
Chaar din ki baat hai
Dard mein aaraam hai aasoon hasi ke saath hai
Jeena kya jeevan se haar ke...(2)



Credits
Writer(s): Sameer Lalji Anjaan
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link