Doli Mein Bithaai Ke Kahar

Doli mein bithai ke kahar x 2
Laaye mohe sajna ke dwaar
Ho doli mein bithai ke kahar
Beete din khushiyon ke chaar
Deke dukh man ko hajaar
Ho doli mein bithai ke kahar

Mar ke nikalna tha
Mar ke nikalna tha
Ghar se saanwariya ke
Jeete ji nikalana pada
Phoolon jaise paaon mein
Pad gaye yeh chhaale re
Kaanton pe jo chalna pada
Patjhad ho ban gayi patjhad
Ho ban gayi patjhad bairan bahaar
Doli mein bithai ke kahar

Jitne hain aansoo meri
Ho jitne hain aansoo meri
Ankhiyon mein utna
Nadiya mein naahi re neer
Ho likhne wale toone likh di yeh kaisi
Meri tooti naiya jaisi taqdeer
Rootha maajhi, ho maajhi
Rootha maajhi, ho maajhi re,
Rootha maajhi tooti patwaar
Doli mein bithai ke kahar

Toota pehle yeh man ho
Toota pehle man ab choodiyaan tooti
Hue saare sapne yun choor
Kaisa hua dhokha
Aaya pawan ka jhonka
Mit gaya mera sindoor
Lut gaye, ho Raama lut gaye
Ho Raama mere lut gaye Solah shringar
Doli mein bithai ke kahar
Laaye mohe sajna ke dwar
Ho doli mein bithai ke kahar



Credits
Writer(s): Anand Bakshi, Rahul Dev Burman
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link