Abhi Ajnabee, Pt. 1

Abhi ajnabee the, abhi to mile hain
Abhi aapke hum kareeb aa gaye hain
Nayi hasraton pe bichi zindagi hai
Banke wo mere naseeb aa gaye hain

Tumhe khud ko saunpa, reeha ho gaye ho
Ibaadat ke aage fanaa ho gaye ho
Tere sang humdam kada jo badhe hain
Aisa laga ki ae falak pe khade hain

Meri khwahishein ab nikharne lage hain
Banke meharbaan habeeb aa gaye hain
Abhi ajnabee the, abhi to mile hain
Abhi aapke hum kareeb aa gaye hain

Khwabon ke par ko, hawa mein pasaare
Udne lage hain. armaan humaare
Jahaan dekhti hoon wahi roshni hai
Nayi zindagi hai. jannat nasee hai

Meri zindagi ab sanwarne lage hain
Manzil ke yun hum kareeb aa gaye hain
Abhi ajnabi the, abhi toh mile hain
Abhi aapke hum kareeb aa gaye hain



Credits
Writer(s): Ajay Jaiswal, Satish
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link